sada hai fikr-e-taraqqi buland-binon ko
hum aasman se lae hain in zaminon ko
paDhen durud na kyun dekh kar hasinon ko
KHayal-e-sanat-e-sane hai pak-binon ko
kamal-e-faqr bhi shayan hai pak-binon ko
ye KHak taKHt hai hum boriya-nashinon ko
lahad mein soe hain chhoDa hai shah-nashinon ko
qaza kahan se kahan le gai makinon ko
ye jhurriyan nahin hathon pe zof-e-piri ne
chuna hai jama-e-asli ki aastinon ko
laga raha hun mazamin-e-nau ke phir ambar
KHabar karo mere KHirman ke KHosha-chinon ko
bhala taraddud-e-beja se un mein kya hasil
uTha chuke hain zamindar jin zaminon ko
unhin ko aaj nahin baiThne ki ja milti
muaf karte the jo log kal zaminon ko
ye zairon ko milin sarfaraaziyan warna
kahan nasib ki chumen malak-jabinon ko
sajaya hum ne mazamin ke taza phulon se
basa diya hai in ujDi hui zaminon ko
lahad bhi dekhiye in mein nasib ho ki na ho
ki KHak chhan ke paya hai jin zaminon ko
zawal-e-taqat o mu-e-saped o zof-e-basar
inhin se pae bashar maut ke qarinon ko
nahin KHabar unhen miTTi mein apne milne ki
zamin mein gaD ke baiThe hain jo dafinon ko
KHabar nahin unhen kya badobast-e-puKHta ki
jo ghasb karne lage ghair ki zaminon ko
jahan se uTh gae jo log phir nahin milte
kahan se DhunD ke ab laen ham-nashinon ko
nazar mein phirti hai wo tirgi o tanhai
lahad ki KHak hai surma maal-bainon ko
KHayal-e-KHatir-e-ahbab chahiye har dam
'anis' Thes na lag jae aabginon ko
Ghazal
Sada hai fikr-e-taraqqi buland-binon ko
Meer Anees