sada fikr-e-rozi hai ta zindagi hai
jo jina yahi hai to kya zindagi hai
chhupa munh na apna ki mar jaenge hum
pari-ru tera dekhna zindagi hai
mujhe KHizr se do na jine mein nisbat
ki us ki ba-ab-e-baqa zindagi hai
teri bewafai ka shikwa karen kya
KHud apni hi yan bewafa zindagi hai
ajal ke siwa us ki daru nahin kuchh
ajab dard dur-az-dawa zindagi hai
tu gulshan mein rah gul ye kahta tha us se
tere dam se meri saba zindagi hai
jinhon ne kiya hai dil aaina apna
unhin logon ki ba-safa zindagi hai
kahan ki hawa tak raha hai tu nadan
ki pal marte yan hawa zindagi hai
na hum muft marte hain ku-e-butan mein
ki marne se yan muddaa zindagi hai
tu ai 'mushafi' gar hai aashiq fana ho
ki aashiq ko baad-az-fana zindagi hai
Ghazal
Sada fikr-e-rozi hai ta zindagi hai
Mushafi Ghulam Hamdani