اردو हिंदी
Sada-e-qais shauq-e-dasht-paimai nami-danam | Shaahi Shayari
sada-e-qais shauq-e-dasht-paimai nami-danam

Ghazal

Sada-e-qais shauq-e-dasht-paimai nami-danam

Asif Anjum

;

sada-e-qais shauq-e-dasht-paimai nami-danam
na jaane kaun si kal khinch ke lai nami-danam

faqiron ko mere shahana KHilat se nawaza hai
aqidat hai ya rang-e-zat-arai nami-danam

khaDe hain raste mein hath bandhe peD saf-basta
hawa kyun chandni ke dosh par aai nami-danam

wajud-e-KHak se lipTe rahe pahlu ke angare
badan ki aag jaane kaise bujh pai nami-danam

darun-e-soz-e-rindana darun-e-ah-e-mastana
ba-gosh-e-yar tak kaisi sada aai nami-danam