sada-e-muzhda-e-la-taqnatu ke dhaare par
charagh jalte rahe aas ke minare par
ajib ism tha lab par ki panw uThte hi
main KHud ko dekhta tha arsh ke kinare par
ajib umr thi sadiyon se rahan rakkhi hui
ajib sans thi chalti thi bas ishaare par
wo ek aankh kisi KHwab ki tamanna mein
wo ek KHwab ki rakkha hua sharare par
isi zamin ki jaanib palaT ke aana tha
utar bhi jate agar hum kisi sitare par
mata-e-harf kahin be-asar nahin 'shahbaz'
ye kaenat bhi hai kun ke istiare par
Ghazal
Sada-e-muzhda-e-la-taqnatu ke dhaare par
Shahbaz Khwaja