sada-e-kun se bhi pahle kisi jahan mein the
wajud mein na sahi hum KHuda ke dhyan mein the
we kitne KHush the jo kuchh bhi na jaante the magar
jo jaante the we har dam ek imtihan mein the
kisi ko haq ki talab thi koi majaz pe tha
aur ek hum the ki donon ke darmiyan mein the
haqiqaton mein utarne se thoDa pahle bhi
janab aap mere KHana-e-guman mein the
mujhe to rasta badalne mein KHauf aata tha
magar wo hausle jo mere raftagan mein the
wafa karenge agar hum wafa milegi hamein
'faraaz' pahle-pahal hum bhi is guman mein the
Ghazal
Sada-e-kun se bhi pahle kisi jahan mein the
Faraz Mahmood Fariz