اردو हिंदी
Sada-e-dil na kahin dhaDkanon mein gum ho jae | Shaahi Shayari
sada-e-dil na kahin dhaDkanon mein gum ho jae

Ghazal

Sada-e-dil na kahin dhaDkanon mein gum ho jae

Khushbir Singh Shaad

;

sada-e-dil na kahin dhaDkanon mein gum ho jae
ye qafila na kahin raston mein gum ho jae

ye dil ka dard jo aankhon mein aa gaya hai meri
main chahta tha mere qahqahon mein gum ho jae

tujhe KHabar bhi hai ye be-hison ki basti hai
teri sada na kahin pattharon mein gum ho jae

main KHud ko DhunDhne nikla to kho gaya jaise
nikal ke ghar se koi raston mein gum ho jae

na jaane aaj hai taron ko kyun ye andesha
ye raat bhi na kahin jugnuon mein gum ho jae

main bar-ha teri yaadon mein is tarah khoya
ki jaise koi nadi jangalon mein gum ho jae

chaman se kyun na shikayat ho 'shad' rangon ko
har ek phul agar KHushbuon mein gum ho jae