اردو हिंदी
Sada-e-dil ibaadat ki tarah thi | Shaahi Shayari
sada-e-dil ibaadat ki tarah thi

Ghazal

Sada-e-dil ibaadat ki tarah thi

Rajinder Manchanda Bani

;

sada-e-dil ibaadat ki tarah thi
nazar shama-shikayat ki tarah thi

bahut kuchh kahne wala chup khaDa tha
faza ujli si hairat ki tarah thi

kaha dil ne ki baDh ke us ko chhu lun
ada KHud hi ijazat ki tarah thi

na aaya wo mere ham-rah yun to
magar ek shai rifaqat ki tarah thi

main tez o sust baDhta ja raha tha
hawa harf-e-hidayat ki tarah thi

na puchh us ki nazar mein kya the meyar
pasand us ki riayat ki tarah thi

mila ab ke wo ek chehra lagae
magar sab baat aadat ki tarah thi

na laDta main ki thi chhoTi si ek baat
magar aisi ki tohmat ki tarah thi

koi shai thi bani jo husn-e-izhaar
mere dil mein aziyyat ki tarah thi