sada-e-afrin uTThi thi jast aisi thi
KHabar na thi ki muqaddar shikast aisi thi
nazar haTa na saka rae kis tarah leta
wo sab ko dekh raha tha nashist aisi thi
use KHayal ye guzra ki gir gai diwar
dil-e-hazin ki sada-e-shikast aisi thi
main tainat ke uljhaw toD hi baiTha
sada-e-dost sada-e-alast aisi thi
main apne aap ko bhi khul ke pesh kar na saka
'waqar' zehniyat-e-waqt past aisi thi
Ghazal
Sada-e-afrin uTThi thi jast aisi thi
Waqar Vasiqi