اردو हिंदी
Sad-haif ki kamzor hai chashman buDhapa | Shaahi Shayari
sad-haif ki kamzor hai chashman buDhapa

Ghazal

Sad-haif ki kamzor hai chashman buDhapa

Obaidullah Khan Mubtala

;

sad-haif ki kamzor hai chashman buDhapa
susti sati jumbish mein hai dandan buDhapa

az bas-ki hua haiga guzar fasl-e-KHizan ka
raunaq nahin rakhta hai gulistan buDhapa

arbal ke bhanwar mein gai hai Dub jawani
jis waqt uTha jag mane tufan buDhapa

tasbih-o-musalla-o-asa ainak-o-rasha
joban ne diya bhej ye saman buDhapa

ghaflat ki rui dur na ki shisha-e-dil sun
mai-KHane mein mastan ne sun ilhan buDhapa

ashaar hain tarif sapedi ki sarapa
is waste rangin nahin diwan buDhapa

joban ke bhawan mein lagi hai aatish-e-garmi
chhiDke hai tahur aab zamistan buDhapa

gardun ki tarah KHam hua qad qaus-e-quzah ka
khincha hai magar zoaf sun kaiwan buDhapa

amraaz ki afwaj ka yurish hai badan par
is mulk mein maghlub hai sultan buDhapa

ab bulbul-e-jaan tang hua tan ke qafas mein
parwaz kare dekh ke zindan buDhapa

lazzat nahin deta hai dahan bich kasu ke
ai 'mubtala' kya sard haiga nan buDhapa