sach yahi hai ki bahut aaj ghin aati hai mujhe
waise wo shai kabhi matlub rahi bhi hai mujhe
apni tanhai ko bazar ghuma laya hun
ghar ki chaukhaT pe pahunchte hi lipaTti hai mujhe
tujh se milta hun to aa jati hai aankhon mein nami
tu samajhta hai shikayat ye purani hai mujhe
us ke shar se main sada mangta rahta hun panah
isi duniya se mohabbat bhi bala ki hai mujhe
bas isi wajh se hai us ki zaban mein luknat
us ko wo baat sunani hai jo kahni hai mujhe

Ghazal
Sach yahi hai ki bahut aaj ghin aati hai mujhe
Sabir