sach to ye hai ki use dhup ne garmaya tha
han wo pauda jo teri chhanw mein kumhlaya tha
raat kis ne meri tanhai ko mahkaya tha
bu-e-gul aai thi ya tera KHayal aaya tha
dekhne wale wo manzar nahin bhule ab tak
main kabhi aap ki aankhon mein nazar aaya tha
kitne qisson ko diya janm tere ashkon ne
main bahut KHush tha ki daman mera kaam aaya tha
kuchh KHayal aaya sarabon mein bhaTakne wale
kis ki aawaz ne dariya pe tujhe laya tha
ab to behtar hai yahi kuchh bhi na yaad aae 'naim'
mausam-e-gul mein kise khoya tha kya paya tha

Ghazal
Sach to ye hai ki use dhup ne garmaya tha
Naeem Akhtar