sach to ye hai ki tamannaon ki jaan hoti hai
wahi ek baat jo hairat mein nihan hoti hai
haal kah dete hain nazuk se ishaare akasr
kitni KHamosh nigahon ki zaban hoti hai
mere ehsas o tafakkur mein sulagti hai jo aag
wahi mazlum ke ashkon mein nihan hoti hai
hae wo waqt ki jab un ki hasin aankhon se
ek pur-kaif tajalli si ayan hoti hai
log kahte hain jise husn-e-ada ki shoKHi
yahi rangin ishaaron ka bayan hoti hai
kitni pyari hai wo masum tamanna ai dost
jo tazabzub ki fazaon mein jawan hoti hai
Ghazal
Sach to ye hai ki tamannaon ki jaan hoti hai
Mahesh Chandra Naqsh