sach ko kahne ka hausla hai mujhe
apne anjam ka pata hai mujhe
nind se KHwab ho gae ruKHsat
zindagi jaise ek saza hai mujhe
us ne raghbat se hath khinch liya
ab kahan koi sochta hai mujhe
dosti ka bharam hi toD diya
in dinon jaane kya hua hai mujhe
jis ki nindon mein KHwab mere the
jab se jaga hai DhunDta hai mujhe
chand jalte sawal bujhta dil
zindagi tu ne kya diya hai mujhe
sare rishte jab us ne toD liye
muD ke ab kya pukarta hai mujhe
ab hun bujhte diye sa suraj tha
in hawalon ko sochna hai mujhe
kyun 'tapish' uljhanon mein uljha hai
is ke bare mein jaanna hai mujhe
Ghazal
Sach ko kahne ka hausla hai mujhe
Moni Gopal Tapish