اردو हिंदी
Sach ko jhuT bana jata hai baz auqat | Shaahi Shayari
sach ko jhuT bana jata hai baz auqat

Ghazal

Sach ko jhuT bana jata hai baz auqat

Manzar Naqvi

;

sach ko jhuT bana jata hai baz auqat
banda Thokar kha jata hai baz auqat

ghar ki chhat par rim-jhim barish jalti dhup
ye mausam bhi aa jata hai baz auqat

achchhi qismat achchha mausam achchhe log
phir bhi dil ghabra jata hai baz auqat

rozana tu raat gae ghar aata hai
sham se pahle aa jata hai baz auqat

jit ke mujh se itna kyun itraate ho
haar ke bhi jita jata hai baz auqat

tum ne nahaq rone ka ilzam diya
aankh mein pani aa jata hai baz auqat

'manzar' miThi baaten bhi to karta hai
kaDwe bol suna jata hai baz auqat