sach ki KHatir sab kuchh khoya kaun likhega
mera ye be-kaif sa qissa kaun likhega
yun to har kandhe par ek chehra hai lekin
kis ke pas hai apna chehra kaun likhega
barf pighal kar dariya to tughyani lae
kyun chaDhta hai waqt ka dariya kaun likhega
dasht-nawardi ka qissa to sab likhte hain
kis ghar mein hai kitna sahra kaun likhega
samne jo haalat hain un sab ke hone mein
kitna kuchh hai kis ka hissa kaun likhega
KHushk hua ehsas ka KHama ab aise mein
kya hota hai dard ka rishta kaun likhega
roz-o-shab ke beach tasadum mein ai hamdam
suraj ka kirdar hai kaisa kaun likhega
abr-e-siyah to jhum ke aaya lekin 'arshad'
kis basti par kitna barsa kaun likhega
Ghazal
Sach ki KHatir sab kuchh khoya kaun likhega
Arshad Kamal