اردو हिंदी
Sach hai inko mujhse kya aur mere afsane se kya | Shaahi Shayari
sach hai inko mujhse kya aur mere afsane se kya

Ghazal

Sach hai inko mujhse kya aur mere afsane se kya

Shaukat Thanvi

;

sach hai in ko mujh se kya aur mere afsane se kya
kar diya diwana to ab kaam diwane se kya

ishq ka aalam juda hai husn ki duniya juda
mujh ko aabaadi se kya aur tum ko virane se kya

meri hairat is taraf hai teri ghaflat us taraf
dekhiye diwana ab kahta hai diwane se kya

shama ki lau hai to us ka ruKH bhi hai su-e-falak
raushni uD jaegi mere siyah-KHane se kya

phir haram mein ho raha hai imtihan-e-ahl-e-dil
sajda-ha-e-masiyat le aaun but-KHane se kya

jis tarah guzri hai ab tak ab bhi guzregi yunhi
hum nahin badle to duniya ke badal jaane se kya

mai-kada se KHum mein aai KHum se shishe mein Dhali
mai mere lab tak na aa jaegi paimane se kya

aalam-e-hasti mein kyun lai hai ai umr-e-rawan
aise virane ki raunaq aise diwane se kya

din idhar duniya udhar aur beach mein waiz ka waz
pher len 'shaukat' nazar hum apni paimane se kya