اردو हिंदी
Sach bolne ke taur-tariqe nahin rahe | Shaahi Shayari
sach bolne ke taur-tariqe nahin rahe

Ghazal

Sach bolne ke taur-tariqe nahin rahe

Nawaz Deobandi

;

sach bolne ke taur-tariqe nahin rahe
patthar bahut hain shahr mein shishe nahin rahe

waise to hum wahi hain jo pahle the dosto
haalat jaise pahle the waise nahin rahe

KHud mar gaya tha jin ko bachane mein pahle bap
ab ke fasad mein wahi bachche nahin rahe

dariya utar gaya hai magar bah gae hain pul
us par aane jaane ke raste nahin rahe

sar ab bhi kaT rahe hain namazon mein dosto
afsos to ye hai ki wo sajde nahin rahe