sach bolna chahen bhi to bola nahin jata
jhuTon ke liye shahr bhi chhoDa nahin jata
tum kitna hi ohdon se nawazo hamein lekin
nafrat ka shajar hum se to boya nahin jata
socho to jawani kabhi wapas nahin aati
dekho to kabhi aa ke buDhapa nahin jata
dil par to bahut zaKHm zamane ke lage hain
KHud-dari se lekin kabhi roya nahin jata
duniya bhi sukun se kabhi rahne nahin deti
nauha bhi kabhi apnon ka likkha nahin jata
pahre mere honTon pe laga rakkhe hain us ne
chahun main gila karna to bola nahin jata
tinke bhi nahin chhoDe hain 'nayyar' kisi ghar ke
sailab wo aaya hai ki dekha nahin jata
Ghazal
Sach bolna chahen bhi to bola nahin jata
Azhar Naiyyar