sabz shaKHon pe zamane ki nazar hoti hai
kis ko sukhe hue patton ki KHabar hoti hai
sadaf-e-chashm se bahar jo na aane pae
bund ashkon ki wahi misl-e-guhar hoti hai
yaad ghurbat mein jab aati hai watan ki mujh ko
na-gahan aankh meri ashkon se tar hoti hai
dafatan dil ka har ek zaKHm ubhar jata hai
jab bhi taswir teri pesh-e-nazar hoti hai
sham hote hi sulag jate hain har ghar mein charagh
Dub jate hain sitare to sahar hoti hai
phul to phul hain patte nahin ugte jin mein
aise peDon se bhi umid-e-samar hoti hai
aib-jui mein shab-o-roz guzaren jo 'asar'
apne kirdar pe kab un ki nazar hoti hai
Ghazal
Sabz shaKHon pe zamane ki nazar hoti hai
Mahfooz Asar