اردو हिंदी
Sabz mausam ki rifaqat us ka karobar hai | Shaahi Shayari
sabz mausam ki rifaqat us ka karobar hai

Ghazal

Sabz mausam ki rifaqat us ka karobar hai

Farooq Anjum

;

sabz mausam ki rifaqat us ka karobar hai
peD kab sukhe hue patton ka hisse-dar hai

phir mahajan banT lenge apni sari khetiyan
qarz ki faslon pe jina kis qadar dushwar hai

ehtiyat-o-KHauf wale Dubte hain beshtar
jin ko hai KHud par bharosa wo nadi ke par hai

mutmain baiThe ho tum ne ye bhi socha hai kabhi
jis ka saya sar pe hai wo ret ki diwar hai

aag ka lashkar hai saf bandhe hamare samne
kya karen hum hath mein to mom ki talwar hai

pattharon ko shahar ke rahti hai mauqa ki talash
kanch ke paikar mein rahna kis qadar dushwar hai