sabz hai pairahan chand ka aaj phir
rang-e-rukHsar hai surKH sa aaj phir
kar gai kaam teri ada aaj phir
sehn-e-gul ne kaha marhaba aaj phir
tere paikar ko chhu kar chali aai hai
marmarin hai badan raat ka aaj phir
le ke aaghosh mein chand ko aasman
munh zamin ko chiDhata raha aaj phir
yaad chandan-wanon se guzarti rahi
man mein sandal mahakta raha aaj phir
dil ki nakaamiyan hi KHata-war hain
wo gunahon ka hai dewta aaj phir
chand suraj hue aamne-samne
imtihan sagaron ka raha aaj phir
aao 'alok' sair-e-chaman ko chalen
uTh ke aai hai kali ghaTa aaj phir
Ghazal
Sabz hai pairahan chand ka aaj phir
Alok Yadav