اردو हिंदी
Sabt hai chehron pe chup ban mein andhera ho chuka | Shaahi Shayari
sabt hai chehron pe chup ban mein andhera ho chuka

Ghazal

Sabt hai chehron pe chup ban mein andhera ho chuka

Shahzad Ahmad

;

sabt hai chehron pe chup ban mein andhera ho chuka
dekhne aae ho kya logo tamasha ho chuka

aabru ke surKH moti phir se kale paD gae
jism ke andar lahu ka rang pila ho chuka

hasraton ke peD sab ke sar se unche ho gae
aarzu ka zaKHm pahle se bhi gahra ho chuka

phir mujhe nadidani zanjir pahnai gai
ilm tak mujh ko nahin aur mera sauda ho chuka

bar-sar-e-paikar apne-ap se hun kya karun
mera dushman bhi meri miTTi se paida ho chuka

kaise TuTe hain dilon ke bahami rishte na puchh
hai nagar aabaad aur har shaKHs tanha ho chuka

tum kahe jate ho aisi fasl-e-gul aai nahin
aur agar main ye kahun sau bar aisa ho chuka

kaun hun main apni surat bhi na pahchani gai
aaina takte hue mujh ko zamana ho chuka

dekhna ye hai ki us ke mawara kya chiz hai
ye umid-o-bim ka daftar purana ho chuka

kab talak dil mein jagah doge hawa ke KHauf ko
baadban kholo ki mausam ka ishaara ho chuka

ab zaban se bhi kaho 'shahzad' kyun KHamosh ho
dil mein jo kuchh tha wo aankhon se huwaida ho chuka