اردو हिंदी
Sabr-o-taslim ki sipar bhi nahin | Shaahi Shayari
sabr-o-taslim ki sipar bhi nahin

Ghazal

Sabr-o-taslim ki sipar bhi nahin

Syed Siddiq Hasan

;

sabr-o-taslim ki sipar bhi nahin
aur tadbir kar-gar bhi nahin

tujh se tark-e-talluqat bhi hai
aur teri yaad se mafar bhi nahin

ab ye kam-himmati ka aalam hai
e'timad apne-ap par bhi nahin

gham ki tira-shabi maaz-allah
ab to andaza-e-sahar bhi nahin

manzilon ka suragh DhunDhte hain
jo saza-war-e-rahguzar bhi nahin

dil nahin mo'atabar na ho lekin
mo'atabar kya teri nazar bhi nahin

hum pe kyun charKH ki nigah paDi
hum to kuchh aise namwar bhi nahin