sabr-o-sukun kahan hai tere intizar mein
dil iKHtiyar mein na nazar iKHtiyar mein
furqat ki baat tak bhi gawara na thi jise
tare wo gin raha hai shab-e-intizar mein
allah re ye baada-e-rangin ki shoKHiyan
zahid ko pini paD gai ab ki bahaar mein
yaad-e-jamal-e-dost ke qurban jaiye
taskin pa raha hun dil-e-be-qarar mein
jab tum ho mere pas KHizan bhi bahaar hai
tum hi nahin to kaise lage dil bahaar mein
'jauhar' wo aaj aae hain thame hue jigar
kitna asar hai nala-e-be-iKHtiyar mein

Ghazal
Sabr-o-sukun kahan hai tere intizar mein
Jauhar Zahiri