sabr-o-qarar TuT gaya iztirab se
phir raaz khul gaya meri aankhon ke aab se
us dil ke saz par kisi birhan ka git hai
aane lagi hain siskiyan dil ke rabab se
jaane se pahle us ne mujhe dewta kaha
main umr bhar na chhuT saka is KHitab se
phir yaad aa gae wahi collage ke din mujhe
sukhe gulab nikle purani kitab se
barbaadiyon mein meri kahan kis ka hath hai
tum KHud hi puchh lo dil-e-KHana-KHarab se
jin ko guman tha kahin koi KHuda nahin
qaumen na bach sakin wo KHuda ke azab se
kafur pal mein hoti hai din bhar ki sab thakan
jab dekhta hun bachchon ke chehre gulab se
rakhiye bahut KHayal huquq-ul-ibaad ka
dena paDega haq wahan sab ka hisab se
'shayan' tujh ko aarzu jannat ki hai agar
dil ko laga le apne KHuda ki kitab se
Ghazal
Sabr-o-qarar TuT gaya iztirab se
Shayan Quraishi