sabr kar sabr dil-e-zar ye wahshat kya hai 
dasht-e-pur-KHar mein jaane ki zarurat kya hai 
ek tahayyur mein paDa hun nahin milta hai pata 
chashm-e-be-KHwab mein ye surat-e-hasrat kya hai 
dil mein baiThe hain to phir munh ka chhupana kaisa 
ai but-e-hosh-ruba aap ki aadat kya hai 
loriyan degi qaza chain se so jaenge 
tere bimar ko marne ki zarurat kya hai 
nek-o-bad jab teri marzi pe hue hain mauquf 
baKHt kahte hain kise aur ye qismat kya hai 
dam-e-aKHir hai mera tum sar-e-baalin aao 
ek saat ke Thaharne mein qabahat kya hai 
roz-e-ishrat mein samajhti hun 'jamila' is ko 
log kis waste Darte hain qayamat kya hai
        Ghazal
Sabr kar sabr dil-e-zar ye wahshat kya hai
Jameela Khuda Bakhsh

