sabhon se yun to hai dil aap ka KHush
agar puchho to hai hum se hi na-KHush
KHushi teri hi hai manzur hum ko
bala se gar koi na-KHush ho ya KHush
rawaq-e-chashm o qasr-e-dil kiya sair
na ki par aap ne yan koi ja KHush
jafa kar ya wafa muKHtar hai tu
mujhe yaksan hai kya na-KHush hai kya KHush
nahin us mein to ghair-az-jaur lekin
mujhe kya jaane kya aai ada KHush
kiya hai garche na-KHush tu ne hum ko
rakhe par ai butan tum ko KHuda KHush
KHushi hai sab ko roz-e-id ki yan
hue hain mil ke baham aashna KHush
bhala kuchh bhi munasib hai meri jaan
ki ho tu aaj ke din mujh se na-KHush
bata aisi koi tadbir 'bedar'
ki jis se howe mera dilruba KHush
Ghazal
Sabhon se yun to hai dil aap ka KHush
Meer Mohammadi Bedar