sabhi samton ko Thukra kar uDi jae
kahan tak jaane gard-e-gum-rahi jae
bacha kar apne sae ko kahan rakhkhun
ki shab to har taraf ko phailti jae
koi diwar hai teri samaat bhi
ki jo aawaz aae lauTti jae
na pahron likh sakun main koi baat apni
ajab si gard kaghaz par jami jae
achanak TuT jae qasr-e-tanhai
koi aawaz khiDki kholti jae
suna hai main sadaon ka samundar hun
ye sannaTa kahin mujh ko na pi jae
wahan basne ki KHwahish munh take mera
imarat bante bante TuTti jae
ubharte jaen rangon ke khule manzar
magar be-fursati aaankhon ko si jae
yun hi khapte na jaen roz-o-shab mein hum
kabhi to baat be-mausam bhi ki jae
ye tum kis ke liye jalte ho goshon mein
chalo chhat par saDak tak raushni jae
Ghazal
Sabhi samton ko Thukra kar uDi jae
Chandra Parkash Shad