اردو हिंदी
Sabhi ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani hai | Shaahi Shayari
sabhi ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani hai

Ghazal

Sabhi ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani hai

Zakir Khan Zakir

;

sabhi ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani hai
hamein lagta hai apna dil nahin ek rajdhani hai

yahin tahrir hai lamhat-e-sar-basta ke afsane
kitab-e-zindagi ke har waraq par ek kahani hai

shikast-o-reKHt ka manzar meri aankhon mein rahne do
mujhe apne hi KHwabon ki abhi qimat chukani hai

talluq TuT jaane se mohabbat mar nahin jati
ye wo dariya hai jis mein bas rawani hi rawani hai

ye mere ashk-e-awara siyah-raaton mein jugnu hain
saja le apni palkon par unhen main zau-fishani hai

zara badle nahin hain ganw se hum shahr mein aa kar
hamare KHun mein zakir wahi saj-dhaj purani hai