اردو हिंदी
Sabhi gunah dhul gae saza hi aur ho gai | Shaahi Shayari
sabhi gunah dhul gae saza hi aur ho gai

Ghazal

Sabhi gunah dhul gae saza hi aur ho gai

Parveen Shakir

;

sabhi gunah dhul gae saza hi aur ho gai
mere wajud par teri gawahi aur ho gai

rafu-giranshahr bhi kamal log the magar
sitara-saz hath mein qaba hi aur ho gai

bahut se log sham tak kiwaD khol kar rahe
faqir-e-shahr ki magar sada hi aur ho gai

andhere mein the jab talak zamana saz-gar tha
charag kya jala diya hawa hi aur ho gai

bahut sambhal ke chalne wali thi par ab ke bar to
wo gul khile ki shoKHi-e-saba hi aur ho gai

na jaane dushmanon ki kaun baat yaad aa gai
labon tak aate aate bad-dua hi aur ho gai

ye mere hath ki lakiren khul rahi thin ya ki KHud
shagun ki raat KHushbu-e-hina hi aur ho gai

zara si kargason ko aab-o-dana ki jo shah mili
uqab se KHitab ki ada hi aur ho gai