sabhi andaz-e-husn pyare hain
hum magar sadgi ke mare hain
us ki raaton ka intiqam na puchh
jis ne hans hans ke din guzare hain
ai sahaaron ki zindagi walo
kitne insan be-sahaare hain
lala-o-gul se tujh ko kya nisbat
na-mukammal se istiare hain
hum to ab Dub kar hi ubhrenge
wo rahen shad jo kinare hain
shab-e-furqat bhi jagmaga uTThi
ashk-e-gham hain ki mah-pare hain
aatish-e-ishq wo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazare hain
wo hamin hain ki jin ke hathon ne
gesu-e-zindagi sanware hain
husn ki be-niyaziyon pe na ja
be-ishaare bhi kuchh ishaare hain
Ghazal
Sabhi andaz-e-husn pyare hain
Jigar Moradabadi