sabaq umr ka ya zamane ka hai
sab aamoKHta bhul jaane ka hai
ye gum hote chehre ye manzar ye gard
saman raat din yan se jaane ka hai
ruke hain ki Tuk dekh len soch len
tawaqquf takalluf bahane ka hai
ye sadiyon ka mohkam munazzam sukut
tilism ek chuTki bajaane ka hai
mahak sans sabza-e-qabr ki
kinaya sa jaise bulane ka hai
wazahat na qurbat ki kije talab
ki ye silsila dur jaane ka hai
qafas mein mere zehan ke muztarib
ye tinka tere aashiyane ka hai
alag ek kahani sa lagta idhar
tasalsul udhar ke fasane ka hai
gae din samajhne parakhne ke 'saz'
ye mausam to bas man jaane ka hai
Ghazal
Sabaq umr ka ya zamane ka hai
Abdul Ahad Saaz