sabaq aisa paDha diya tu ne
dil se sab kuchh bhala diya tu ne
hum nikamme hue zamane ke
kaam aisa sikha diya tu ne
kuchh talluq raha na duniya se
shaghl aisa bata diya tu ne
kis KHushi ki KHabar suna ke mujhe
gham ka putla bana diya tu ne
kya bataun ki kya liya main ne
kya kahun main ki kya diya tu ne
be-talab jo mila mila mujh ko
be-gharaz jo diya diya tu ne
umr-e-jawed KHizr ko baKHshi
aab-e-haiwan pila diya tu ne
nar-e-namrud ko kiya gulzar
dost ko yun bacha diya tu ne
dast-e-musa mein faiz baKHshish hai
nur-o-lauh-o-asa diya tu ne
subh mauj nasim gulshan ko
nafas-e-jaan-faza diya tu ne
shab-e-tira mein shama raushan ko
nur KHurshid ka diya tu ne
naghma bulbul ko rang-o-bu gul ko
dil-kash-o-KHushnuma diya tu ne
kahin mushtaq se hijab hua
kahin parda uTha diya tu ne
tha mera munh na qabil-e-labbaik
kaba mujh ko dikha diya tu ne
jis qadar main ne tujh se KHwahish ki
is se mujh ko siwa diya tu ne
rahbar-e-KHizr-o-hadi-e-ilyas
mujh ko wo rahnuma diya tu ne
miT gae dil se naqsh-e-baatil sab
naqsha apna jama diya tu ne
hai yahi rah manzil-e-maqsud
KHub raste laga diya tu ne
mujh gunahgar ko jo baKHsh diya
to jahannum ko kya diya tu ne
'dagh' ko kaun dene wala tha
jo diya ai KHuda diya tu ne
Ghazal
Sabaq aisa paDha diya tu ne
Dagh Dehlvi