sabab thi fitrat-e-insan KHarab mausam ka
farishte jhel rahe hain azab mausam ka
wo tishna-lab bhi fareb-e-nazar mein aaega
use bhi DhunD hi lega sarab mausam ka
daraKHt yun hi agar sabz sabz kaTte rahe
badal na jae zamin par nisab mausam ka
main jis mein rah na saka ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyab mausam ka
isi umid mein juhi se bhar gaya aangan
ki khilne wala hai ab ke gulab mausam ka
bahaar ho gai phir apne-ap sharminda
kiya tha dil ne bhi wo intiKHab mausam ka
khulin jo nind se aanhken hamari yan 'azar'
guzar chuka tha zamana bhi KHwab mausam ka
Ghazal
Sabab thi fitrat-e-insan KHarab mausam ka
Faryad Aazar