اردو हिंदी
Sabab kya puchhte ho ishq ki aashufta-haali ka | Shaahi Shayari
sabab kya puchhte ho ishq ki aashufta-haali ka

Ghazal

Sabab kya puchhte ho ishq ki aashufta-haali ka

Ishq Aurangabadi

;

sabab kya puchhte ho ishq ki aashufta-haali ka
diwana hai kisu dilbar ki waz-e-laubaali ka

bhara hai shahd kanon mein samaat ki halawat se
kahun kya zaiqa shirin-dahan ki KHush-maqali ka

teri aankhon ke aage ro ke aah-e-sard bharta hun
ki nit hai zauq maston ko hawa-e-barshagali ka

dil-e-be-tab jiyun simab-hasrat se taDapta hai
ada se jab lahakta hega moti us ki baali ka

kiya hun ishq mein tarif us mah-ru ke abru ki
har ek misra hai mera rashk diwan-e-hilali ka