اردو हिंदी
Saba ye bargah-e-husn mein KHabar karna | Shaahi Shayari
saba ye bargah-e-husn mein KHabar karna

Ghazal

Saba ye bargah-e-husn mein KHabar karna

Laiq Aajiz

;

saba ye bargah-e-husn mein KHabar karna
use to chahiye zarron ko bhi qamar karna

mein chahta hun talluq ke darmiyan parda
wo chahta hai mere haal par nazar karna

mere KHuda meri duniya hi KHatm kar dena
agar duaon ko meri tu be-asar karna

ye dekh lena mohalle ke log kaise hain
phir is ke baad hi tamir apna ghar karna

tumhaara kaam hai kichaD uchhaalna lekin
hamare zarf mein shamil hai darguzar karna

meri hayat se hai pyar is liye 'ajiz'
wo chahta hai meri umr muKHtasar karna