saba ki baat sunen phul se kalam karen
bahaar aae to hum bhi junun mein nam karen
na koi ret ka Tila na saya-dar daraKHt
rah-e-wafa mein musafir kahan qayam karen
qadam qadam pe mile bolte hue patthar
tumhi batao ki ab kis se hum kalam karen
mahak uDati hui aai hai nasim-e-bahaar
kaho ab ahl-e-chaman se ki fikr-e-dam karen
hamari rah mein diwar ban gai duniya
tumhaare shahar mein kis kis ko hum salam karen
wo jin ke dam se zamane ke KHwab rangin hain
hamari nind bhi aa kar kabhi haram karen
dhuan dhuan si faza shahr-e-dil ki hai 'parwaz'
nae charagh jalane ka intizam karen
Ghazal
Saba ki baat sunen phul se kalam karen
Altaf Parwaz