saba ka raaz bhi phulon ke darmiyan khula
us ek dar ke tawassut se gulsitan khula
qafas mein qaid parindon ke par nahin khulte
nazar ke samne lekin hai aasman khula
abhi to lafz bhi aawaz ke bhanwar mein hain
abhi se kaise maani ka baadban khula
falak pe ghor ghaTaen sarab hone lagin
saron pe dhup ka jis waqt saeban khula
tamam shahar ki tanhaiyan mukammal hain
koi bhi 'hashmi' lagta nahin makan khula

Ghazal
Saba ka raaz bhi phulon ke darmiyan khula
Musarrat Hashmi