اردو हिंदी
Saba ka narm sa jhonka bhi taziyana hua | Shaahi Shayari
saba ka narm sa jhonka bhi taziyana hua

Ghazal

Saba ka narm sa jhonka bhi taziyana hua

Naseer Turabi

;

saba ka narm sa jhonka bhi taziyana hua
ye war mujh pe hua bhi to ghaebana hua

usi ne mujh pe uThae hain sang jis ke liye
main pash pash hua ghar nigar-KHana hua

jhulas raha tha badan garmi-e-nafas se magar
tere KHayal ka KHurshid shamiyana hua

KHud apne hijr ki KHwahish mujhe aziz rahi
ye tere wasl ka qissa to ek bahana hua

KHuda ki sard-mizaji sama gai mujh mein
meri talash ka sauda payambarana hua

main ek shajar ki tarah rahguzar mein Thahra hun
thakan utar ke tu kis taraf rawana hua

wo shaKHs jis ke liye sher kah raha hun 'nasir'
ghazal sunae hue us ko ek zamana hua