saba ka narm sa jhonka bhi taziyana hua
ye war mujh pe hua bhi to ghaebana hua
usi ne mujh pe uThae hain sang jis ke liye
main pash pash hua ghar nigar-KHana hua
jhulas raha tha badan garmi-e-nafas se magar
tere KHayal ka KHurshid shamiyana hua
KHud apne hijr ki KHwahish mujhe aziz rahi
ye tere wasl ka qissa to ek bahana hua
KHuda ki sard-mizaji sama gai mujh mein
meri talash ka sauda payambarana hua
main ek shajar ki tarah rah-guzar mein Thahra hun
thakan utar ke tu kis taraf rawana hua
wo shaKHs jis ke liye sher kah raha hun 'nasir'
ghazal sunae hue us ko ek zamana hua
Ghazal
Saba ka narm sa jhonka bhi taziyana hua
Naseer Turabi