saba banate hain ghuncha-dahan banate hain
tumhaare waste kya kya suKHan banate hain
sinan o tir ki lazzat lahu mein ram kare hai
hum apne aap ko kis ka hiran banate hain
ye dhaj khilati hai kya gul zara pata to chale
ki KHak-e-pa ko teri pairahan banate hain
wo gul-izar idhar aaega sau daghon se
hum apne sine ko rashk-e-chaman banate hain
shahid-e-naz ghazab ke hunar-waran nikle
lahu ke chhinTon se apna kafan banate hain
tumhaari zat hawala hai surKH-rui ka
tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banate hain
Ghazal
Saba banate hain ghuncha-dahan banate hain
Amir Hamza Saqib