sab thakan aankh mein simaT jae
nind aa jae raat kaT jae
ru-ba-ru hon to guftugu bhi karen
kaun aawaz se lipaT jae
wahm ye hai ki band darwaza
dekh kar hi na wo palaT jae
sikh dariya se koh-paimai
koi kyun raste se haT jae
kaun marega dusra patthar
koi surat ki dard baT jae
main hawa hun ki chal raha hun hanuz
arsa-e-dahr hi na kaT jae
be-dili KHilat-e-nadamat hai
ek bala hai agar chimaT jae
apne chehre ko Dhanp Dhanp ke rakh
aaina gard se na aT jae

Ghazal
Sab thakan aankh mein simaT jae
Saleem Shahid