sab tarah ke haalat ko imkan mein rakkha
har lamha use soch mein wijdan mein rakkha
hijrat ki ghaDi hum ne tere KHat ke alawa
bosida kitabon ko bhi saman mein rakkha
mujh ko meri qamat ke mutabiq bhi jagah di
ye phul uTha kar kabhi gul-dan mein rakkha?
ek umr guzari nae aahang se lekin
ajdad ki aqdar ko bhi dhyan mein rakkha
ek roz siyah raat hatheli pe saja kar
sahra ne qadam KHitta-e-gunjaan mein rakkha
honTon ko sada rakkha tabassum se ibarat
ek zahr-bujha tir bhi muskan mein rakkha
Ghazal
Sab tarah ke haalat ko imkan mein rakkha
Iftikhar Shafi