sab sitam yaad hain sari hamdardiyan yaad hain
is zamin ke makinon ko sat aasman yaad hain
mujh ko afsos hai main juda ho raha hun magar
ai musafir mujhe teri sab nekiyan yaad hain
main wahan ab nahin hun to kya hai ki ab tak mujhe
wo makan us ke darwaze aur khiDkiyan yaad hain
jin mein barbaad hone ko ji chahta hai bahut
mujh ko aisi bhi chand ek aabaadiyan yaad hain
jaanta hun 'zafar' ye ghaDi bhul jaane ki hai
phir bhi sare shukuk aur sare guman yaad hain

Ghazal
Sab sitam yaad hain sari hamdardiyan yaad hain
Sabir Zafar