sab sharik-e-sadma-o-azar kuchh yunhi se hain
yar kuchh yunhi se hain gham-KHwar kuchh yunhi se hain
un ke sab afaal sab atwar kuchh yunhi se hain
qaul kuchh yunhi se hain iqrar kuchh yunhi se hain
apne diwane se mil lije usi mein KHair hai
aap abhi ruswa sar-e-bazar kuchh yunhi se hain
jis jagah dekho nasihat ke liye maujud hain
hazrat-e-naseh KHudai-KHwar kuchh yunhi se hain
dast-e-wahshat ne gareban ka safaya kar diya
jeb ke parde mein thoDe tar kuchh yunhi se hain
un ke aane ki KHabar sun kar uDa di hai KHabar
warna 'muztar' waqai bimar kuchh yunhi se hain
Ghazal
Sab sharik-e-sadma-o-azar kuchh yunhi se hain
Muztar Khairabadi