اردو हिंदी
Sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho | Shaahi Shayari
sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho

Ghazal

Sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho

Zain-ul-Abideen Khan Arif

;

sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho
ham-nashin koi na ho aur raaz-dan koi na ho

mariye is hasrat mein gar qatil na hath aawe kahin
roiye apne pe KHud gar nauha-KHwan koi na ho

bich mein hai mere us ke tu hi ai aah-e-hazin
sulh kyunkar howe jab tak darmiyan koi na ho

shikwa kis se kijiye KHaliq ki marzi hai yahi
nukta-chin paida hon lakhon nukta-dan koi na ho

mujh talak qatil to qatil maut bhi aati nahin
kis ko dije jaan jab KHwahan-e-jaan koi na ho

mane gar koi nasihat 'arif'-e-dil-KHasta ki
bhul kar bhi wala-e-atish-bajaan koi na ho