sab qarine usi dildar ke rakh dete hain
hum ghazal mein bhi hunar yar ke rakh dete hain
shayad aa jaen kabhi chashm-e-KHaridar mein hum
jaan o dil bich mein bazar ke rakh dete hain
taki tana na mile hum ko tunuk-zarfi ka
hum qadah samne aghyar ke rakh dete hain
ab kise ranj-e-asiri ki qafas mein sayyaad
sare manzar gul-o-gulzar ke rakh dete hain
zikr-e-jaanan mein ye duniya ko kahan le aae
log kyun masale bekar ke rakh dete hain
waqt wo rang dikhata hai ki ahl-e-dil bhi
taq-e-nisyan pe suKHan yar ke rakh dete hain
zindagi teri amanat hai magar kya kije
log ye bojh bhi thak-haar ke rakh dete hain
hum to chahat mein bhi 'ghaalib' ke muqallid hain 'faraaz'
jis pe marte hain use mar ke rakh dete hain
Ghazal
Sab qarine usi dildar ke rakh dete hain
Ahmad Faraz