اردو हिंदी
Sab pech-o-tab-e-shauq ke tufan tham gae | Shaahi Shayari
sab pech-o-tab-e-shauq ke tufan tham gae

Ghazal

Sab pech-o-tab-e-shauq ke tufan tham gae

Aziz Hamid Madni

;

sab pech-o-tab-e-shauq ke tufan tham gae
wo zulf khul gai to hawaon ke KHam gae

sari faza thi wadi-e-majnun ki KHwab-nak
jo rushanas-e-marg-e-mohabbat the kam gae

wahshat si ek lala-e-KHunin kafan se thi
ab ke bahaar aai to samjho ki hum gae

ab jin ke gham ka tera tabassum hai parda-dar
aaKHir wo kaun the ki ba-mizhgan-e-nam gae

ai jada-e-KHiram-e-mah-o-mahr dekhna
teri taraf bhi aaj hawa ke qadam gae

main aur tere band-e-qaba ki hadis-e-ishq
na-dida KHwab-e-ishq kai be-raqam gae

aisi koi KHabar to nahin sakinan-e-shahr
dariya mohabbaton ke jo bahte the tham gae