sab neamaten hain shahr mein insan hi nahin
kuchh yun ki jaise ye koi nuqsan hi nahin
ek aayat-e-wajud hun miTTi ke Dher mein
mere nuzul ki to koi shan hi nahin
kabina-e-wujud ka main bhi hun ek wazir
aisa ki mera koi qalam-dan hi nahin
ye jang ab kahan ho badan mein ki ruh mein
goya ki ishq ka koi maidan hi nahin
dast-e-junun bhi tang hua dasht-e-ishq mein
ab chaak kya karun ki gareban hi nahin
hairan hun apne qatl ka ilzam kis ko dun
tauhid mein to shirk ka imkan hi nahin
'ehsas' ne buton mein KHuda ko kiya sharik
is shirk ke baghair to iman hi nahin
Ghazal
Sab neamaten hain shahr mein insan hi nahin
Farhat Ehsas