sab mutmain the subh ka aKHbar dekh kar 
KHaif the hum nawishta-e-diwar dekh kar 
munsif gawah had hai ki mazlum bik gae 
qimat lagi jo zarf-e-KHaridar dekh kar 
main boriya-nashin gharib-ul-watan faqir 
hairan tha shan-o-shaukat-e-darbar dekh kar 
na-waqif-e-rusum-e-huzuri tha ki gaya 
sab dam-ba-KHud the jurat-e-izhaar dekh kar 
aisa nahin ki sab the haqaeq se na-balad 
bas bolte the chashm-e-sharar-bar dekh kar 
tark-e-tawahhumat ne be-faiz kar diya 
bhaTke the hum bhi jubba-o-dastar dekh kar 
koshish main karta rahta hun ghazlon mein apni 'taj' 
baaten banaun chashm-o-ruKH-e-yar dekh kar
        Ghazal
Sab mutmain the subh ka aKHbar dekh kar
Husain Taj Rizvi

